Sponsored Links

Monday, March 3, 2014

Duriyaan!



Doston ka saath kise na gawara hoga,
Jis pal saath hai uss pal ko khaas banana hoga ||

Unn palon ko bator ke in aankhon mein sajana hoga,
Saath kon hoga hamesha apne,
Sab ko apna rasta alag banana hoga ||

Tadpenge sab ek dusre ki yaad mein,
palkon se iss nami ko hatana hoga ||

Kal kon kahan hoga kon jaane,
Kahan kiska thikana hoga ||

Par sabko chalte jaana hoga,
aage ki zindagi ko behtar bana hoga ||

Yaad aayegi sabki uss din,
Jab zindagi mein phir wahi mukaam aaega,
Aisa he koi kagaz phir mere haath aayega,
koshish bahut karunga usse rokne ki,

Par woh aansu inn aankhon se jharr he jaayega ||

No comments:

Post a Comment